
Mera khamosh reh kar bhi unhain sabb kutch suna dena
Zuba'n se kutch na kehna dekh kar aansoo baha dena
Nasheman ho na ho ye to falak ka mashghala thhehra
K do tinkey jaha'n par dekhna bijlee gira dena
Ijazat ho to kehdoo'n qissa e ulfat sar e mehfil
Mujhey kutch to fasana yaad hai kutch tum suna dena
Mai mujrim hoo'n mujhey iqrar hai jurm e mohabbat ka
Magar pehley khata par ghaur kar lo phir saza dena
Mai jiss haalat mai pohncha hashr waley khudd pukar utthey
Koi faryad karne aa raha hai raasta dena